Latest quotes | Random quotes | Latest comments | Submit quote

Deepak Kumar deep

Poem on Indian Classicl Music

Dhun jab dil se nikar kar
Hothon par aa jate hain
Wo bol bol rahte nahi
Fir Sangeet ban jaate hain

Kala, nritya Sahitya prem
Sangeet ke ye ang hain
Pop gazal bhav Sangeet
Gane kea lag dhang hain

Lay taal aur bandish
Susangeet ki pahchan hai
Saralta samrasta se
Badti iski shaan hai

Shashtriya sangeet lupt ho raha
Aao iski chat jagayen
“Deep” Raphi Kishore banker
Bhartiya Sangeet ki garima badhayen.

poem by Deepak Kumar deepReport problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Chitke pyare taare in hindi by deepak kumar deep

Neele neele amber par,
chitke pyare taare hain..
Suraj ki kirno se,
chamakte ye saare hain..


kabhi ladhte n ghagarte ye,
milkar sare rahte hain....
door door tak dhara pe,
ujiyara ye karte hain.......


shwet dhawal prakesh se apne,
bhoole pathik ko raah dikhate..
karo nishwarth sewa sabki,
''deep'' paath yahi padhte.......

[...] Read more

poem by Deepak Kumar deepReport problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Holi Poem Sara Ra ra Holi hai

Sara ra ra Holi hai
Baat yahi batayenge hum
Daud daud kar bhag bhag kar
Sabko rang lagayenge hum.

Koi bachga na humse
Nar ho chahe naari
Rango ka godam pas me
Aur rango se bhari pichkari.

Meethe meethe pakwan khilakar
Apna harsh prakat kar payen
Vair virodh ko rakhen door
Sabko apne gale lagayen.

Dhol majeera ki madhur taal par
Khub ghoome nachen gayen
Deep bhula ke bhed bhaw ko
Pyar se ye tyohar manayen.

poem by Deepak Kumar deepReport problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Chiragh-e-Muhabbat

Ghazal

Halaat badalne lage hain unhe dekh kar
Khushi ab chhupaye chhupai na jati

Batein hain dilon ki, badi hi purani
Jo har ek mehfil mein sunai na jati

Hai kashish Jo Tum mein woh aur kahan
Teri yadein iss dil se bhulai na jati

Chiragh-e-muhabbat yun hi jalaye rakhna
Yeh woh roshni hai jo bujhai na jati

Parwah na kar zamane ki kar de izhhar ‘deep'
Yeh aag dil mein ab dabai na jati


Written by
Deepak kumar deep

[...] Read more

poem by Deepak Kumar deepReport problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Kaise Banayen Riste

Gazal- Kaise banayen riste


Buland hain irade dushmani ke aaj
Kaise banaye rishte dosti ke aaj

Hinsa hawas me, hai bhukh daulat ki
Maksad ban gaye hain, Zindagi ke aaj

Kare- khair dekhe nahi aabgeenon me
Ye salika hai nahi bandage ke aaj

Shkal surat me Manavta nahi shyad
Paribhasha hai nahi aadmi ke aaj

Nafrat bhare dil me, jab “deep” jala nahi
Pyar ho saka na issi kami ke aaj


Writer

[...] Read more

poem by Deepak Kumar deepReport problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Gazal-Muskurate rahiye

Zindagi mili hai muskurate rahiye,
kaam dukh dard me, aate rahiye..

Aakhon me na aason aayen kisi ke,
hasen aur sabko hasante rahiye....

shool na bichaye rahon me kisi ke,
phool hi rahon me bichhte rahiye....

vair nafrat ko ab aao door karen,
pyar hi dil me basate rahiye.............

andhera khud hi mit jayega,
''deep'' jag me jalate rahiye...............


''Writer''
Deepak kumar''deep''
This Gazal has been Published Copy right issue Nirankari Mazagine 'Ek Nazar' on Feb 2007

poem by Deepak Kumar deepReport problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Wo Bharat Hame Jaan Se Pyara

Bahti jahan gyan ki dhara
wo bharat hame jaan se pyara
seeta ram ki dharti hai jo
aisa bharat desh hamara

Hai bharat ki shaan tiranga
isse na ghukne denge ham
veeron ki kurbani ko
vartha na jane denge ham

Na jaati na bhasha dekha
sabko apna meet banaya
ho bangladesh ya pakistan
hamne sabko gale lagaya

di sharan hamne sabko
jab koi hai sankat aaya
bhookhe rahkar bhi hamne
padhosee ko khana khilaya

[...] Read more

poem by Deepak Kumar deepReport problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Khilauna Pyara Pyara

Maa mughko chahiye,
aasmaan ka ek taara..
ghat se lakar de do mughko,
khilauna pyara pyara..


Maa boli bete se apne,
kaise laungi mai usko..
yahan nahi wo door bahut hai,
khilauna kahta hai tu jisko..


Bachha rone laga chillane,
meri mang poori ho............
ek dana nahi khaunga,
chahe halwa poori ho..........


Ab to maa hairan ho gayi,
ghat thali me paani laya.....

[...] Read more

poem by Deepak Kumar deepReport problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Tree Plantation Ped lagayen, Paryawaran bachayen

Vrikash paryawaran ki shan hain
Vrikashon ko na katen hum
Ped lagayen, paryawaran bachyen
Vrikash hamari jaan hain.

Vrikash lagana acchi baat hai
Par Vrikash ki rakasha bhi Karen
Apne swarth ki khatir
Ped kaatna galat baat hai.

Ped pradushan se hame bachte
Ped hi barish late hain
Ped hi sunder fal hain dete
Aur hamari sehat banate.

Ped hamari khatir jeete
Kitna bada hai unka upkar
Khud sahkar dhoop aur toofan
Dete hame thandi bayar(Hawa) .

[...] Read more

poem by Deepak Kumar deepReport problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Jago huwa savera

Jago bachho huwa savera
aalas me na samay gawaon
uath jaldi subah savere
saare sukh sahaj hi paoo....

Subah jo jaldi uathta hai
swastha wo hardam rahta hai
aalas jo bhi karta
wo khud ko dukh se bharta hai...

Subah uath vyyayaam karo
adhoore sare kaam karo
parishram se jab thak jaao
thodhi der aaram karo..................

gyan ka deepak jala kar
door karo agayan andhera
'deep'' sabse yahi hai kahta
jago jago huwa savera.....................

[...] Read more

poem by Deepak Kumar deepReport problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share
 

<< < Page / 3 > >>

If you know another quote, please submit it.

Search


Recent searches | Top searches